KHushi ke nur se mamur baam-o-dar rakhiye
ḳhushī ke nuur se māmūr bām-o-dar rakhiye
nashāt-o-rang se ābād apnā ghar rakhiye
nizām-e-nau ke liye fikr-e-mo'atabar rakhiye
agar shu.ūr hai hālāt par nazar rakhiye
ye kaam aa.egī hastī kī rahguzāroñ meñ
kamāl-e-azm kī daulat sañbhāl kar rakhiye
hamārī is ke sivā aur aarzū kyā hai
hamāre vāste ik pyaar kī nazar rakhiye
jo chāhte ho mohabbat kī raushnī phaile
diye ḳhulūs ke dil kī fasīl par rakhiye
payām-e-fikr-o-nazar ho jo har bashar ke liye
tasavvurāt meñ aisī bhī ik sahar rakhiye
jo fan ke naam pe tashkīl paane vaalī hai
us anjuman kā koī naam soch kar rakhiye
ye zindagī kā safar ḳhatm hone vaalā hai
qiyām ke liye sāmān muḳhtasar rakhiye
yahī 'nigār' taqāzā hai ilm-o-dānish kā
haqīqatoñ se zamāne ko bā-ḳhabar rakhiye
KHushi ke nur se mamur baam-o-dar rakhiye
nashat-o-rang se aabaad apna ghar rakhiye
nizam-e-nau ke liye fikr-e-mo'atabar rakhiye
agar shuur hai haalat par nazar rakhiye
ye kaam aaegi hasti ki rahguzaron mein
kamal-e-azm ki daulat sanbhaal kar rakhiye
hamari is ke siwa aur aarzu kya hai
hamare waste ek pyar ki nazar rakhiye
jo chahte ho mohabbat ki raushni phaile
diye KHulus ke dil ki fasil par rakhiye
payam-e-fikr-o-nazar ho jo har bashar ke liye
tasawwuraat mein aisi bhi ek sahar rakhiye
jo fan ke nam pe tashkil pane wali hai
us anjuman ka koi nam soch kar rakhiye
ye zindagi ka safar KHatm hone wala hai
qiyam ke liye saman muKHtasar rakhiye
yahi 'nigar' taqaza hai ilm-o-danish ka
haqiqaton se zamane ko ba-KHabar rakhiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.