KHushi ke waqt bhi tujhko malal kaisa hai
ḳhushī ke vaqt bhī tujh ko malāl kaisā hai
urūj-e-husn meñ naqs-e-kamāl kaisā hai
jo ek duuje ko chāheñ to kyuuñ na apnā leñ
ye dil se pūchh ke batlā ḳhayāl kaisā hai
nahīñ jo aane ke sab un kī raah takte haiñ
ye intizār kā shahr-e-vabāl kaisā hai
hai jis ke saath juḌe ik hazār ik ḳhadshe
vo hijr kaisā hai 'hāmid' visāl kaisā hai
KHushi ke waqt bhi tujh ko malal kaisa hai
uruj-e-husn mein naqs-e-kamal kaisa hai
jo ek duje ko chahen to kyun na apna len
ye dil se puchh ke batla KHayal kaisa hai
nahin jo aane ke sab un ki rah takte hain
ye intizar ka shahr-e-wabaal kaisa hai
hai jis ke sath juDe ek hazar ek KHadshe
wo hijr kaisa hai 'hamid' visal kaisa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.