KHushi ke waqt se daur-e-malal se guzre
KHushi ke waqt se daur-e-malal se guzre
Masood Maikash Muradabadi
MORE BYMasood Maikash Muradabadi
ḳhushī ke vaqt se daur-e-malāl se guzre
tirī talāsh meñ hadd-e-ḳhayāl se guzre
hameñ to asl meñ tanhā tujhī se milnā thā
so ik nazar meñ tire ḳhadd-o-ḳhāl se guzre
bujhe bujhe se haiñ ġhunchoñ kī zindagī ke charāġh
sabā se kah do chaman meñ ḳhayāl se guzre
tire faqīr mohabbat ke ek lamhe meñ
hazār baar urūj-o-zavāl se guzre
junūñ kī fitrat-e-ālī pe baar hai ai dost
vo bandagī jo maqām-e-savāl se guzre
kahīñ na dāman-e-ādāb-e-ishq ko chhoḌā
firāq hī kī tarah ham visāl se guzre
dil-o-nazar ko ḳhabar tak nahīñ huī 'maikash'
kuchh is tarah vo hudūd-e-ḳhayāl se guzre
KHushi ke waqt se daur-e-malal se guzre
teri talash mein hadd-e-KHayal se guzre
hamein to asl mein tanha tujhi se milna tha
so ek nazar mein tere KHadd-o-KHal se guzre
bujhe bujhe se hain ghunchon ki zindagi ke charagh
saba se kah do chaman mein KHayal se guzre
tere faqir mohabbat ke ek lamhe mein
hazar bar uruj-o-zawal se guzre
junun ki fitrat-e-ali pe bar hai ai dost
wo bandagi jo maqam-e-sawal se guzre
kahin na daman-e-adab-e-ishq ko chhoDa
firaq hi ki tarah hum visal se guzre
dil-o-nazar ko KHabar tak nahin hui 'maikash'
kuchh is tarah wo hudud-e-KHayal se guzre
- Book : KHuli kitab (Pg. 21)
- Author : Masuud maikash muradabadi
- Publication : Adbi Miaar Publications (1981)
- Edition : 1981
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.