KHushi ke yas ke lamhe hamein rulate hain
ḳhushī ke yaas ke lamhe hameñ rulāte haiñ
ki zindagī meñ nasheb-o-farāz aate haiñ
jalāo apne laboñ par tabassumoñ ke diye
añdhere ġham ke to aate haiñ aur jaate haiñ
kabhī jo dil meñ vafā ke charāġh jalte the
magar vo aaj kahāñ raushnī luTāte haiñ
jahāñ bhī jā.ūñ vahāñ par sukūñ nahīñ miltā
har ik jagah pe na.e hādse satāte haiñ
jo ho bhī jaa.e tamannā kā ḳhuun sah lenā
ye abr vo haiñ jo mausam badal ke jaate haiñ
tire nasīb ke taare bhī 'shād' chamkeñge
ham ab charāġh tirī raah meñ jalāte haiñ
KHushi ke yas ke lamhe hamein rulate hain
ki zindagi mein nasheb-o-faraaz aate hain
jalao apne labon par tabassumon ke diye
andhere gham ke to aate hain aur jate hain
kabhi jo dil mein wafa ke charagh jalte the
magar wo aaj kahan raushni luTate hain
jahan bhi jaun wahan par sukun nahin milta
har ek jagah pe nae hadse satate hain
jo ho bhi jae tamanna ka KHun sah lena
ye abr wo hain jo mausam badal ke jate hain
tere nasib ke tare bhi 'shad' chamkenge
hum ab charagh teri rah mein jalate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.