KHushi ki aarzu ko pa ke mahrum-e-KHushi maine
ḳhushī kī aarzū ko pā ke mahrūm-e-ḳhushī maiñ ne
ḳhushī kī aarzū dil meñ kabhī palne na dī maiñ ne
vatan kī sar-zamīñ jis par luTā dī zindagī maiñ ne
vahīñ apne liye paa.ī mohabbat kī kamī maiñ ne
jo merī jaan ke dushman the un par jaan dī maiñ ne
sikhā.ī yuuñ bhī apne dushmanoñ ko dostī maiñ ne
siyāsat se fasādoñ kā banā maskan vatan merā
jahāñ sadiyoñ diyā paiġhām-e-sulh-o-āshtī maiñ ne
gul-afshāñ jo zamīñ thī vo zamīñ ab aag ugaltī hai
ajab ta.abīr dekhī hurriyat ke ḳhvāb kī maiñ ne
sahar kaisī sahar kā zikr bhī ik jurm Thahrā hai
añdherī raat kā dekhā hai ye andher bhī maiñ ne
vahāñ mujh ko mohazzab bhī na maanā jaa.e hairat se
jahāñ tahzīb kī buniyād rakkhī thī kabhī maiñ ne
ye taufīq apnī apnī apnā apnā zarf hai pyāre
musalsal tū ne kī bedād paiham daad dī maiñ ne
shikasta-pā.ī se maiñ apnī pīchhe rah gayā be-shak
magar tezī-e-raftār-e-jahāñ to jaan lī maiñ ne
ye ab tujh par hai to qadmoñ meñ rahne de ki Thukrā de
tire qadmoñ meñ rakh dī apne dil kī har ḳhushī maiñ ne
yaqīnan vaj.h-e-baḳhshish nāz-e-umr-e-bandagī hotā
kiyā hotā agar shāyān-e-dar ik sajda bhī maiñ ne
yahī kuchh kam nahīñ kam āgahī ke is zamāne meñ
jahān-e-sher ko baḳhshā 'vaqār'-e-āgahī maiñ ne
KHushi ki aarzu ko pa ke mahrum-e-KHushi main ne
KHushi ki aarzu dil mein kabhi palne na di main ne
watan ki sar-zamin jis par luTa di zindagi main ne
wahin apne liye pai mohabbat ki kami main ne
jo meri jaan ke dushman the un par jaan di main ne
sikhai yun bhi apne dushmanon ko dosti main ne
siyasat se fasadon ka bana maskan watan mera
jahan sadiyon diya paigham-e-sulh-o-ashti main ne
gul-afshan jo zamin thi wo zamin ab aag ugalti hai
ajab tabir dekhi hurriyat ke KHwab ki main ne
sahar kaisi sahar ka zikr bhi ek jurm Thahra hai
andheri raat ka dekha hai ye andher bhi main ne
wahan mujh ko mohazzab bhi na mana jae hairat se
jahan tahzib ki buniyaad rakkhi thi kabhi main ne
ye taufiq apni apni apna apna zarf hai pyare
musalsal tu ne ki bedad paiham dad di main ne
shikasta-pai se main apni pichhe rah gaya be-shak
magar tezi-e-raftar-e-jahan to jaan li main ne
ye ab tujh par hai to qadmon mein rahne de ki Thukra de
tere qadmon mein rakh di apne dil ki har KHushi main ne
yaqinan wajh-e-baKHshish naz-e-umr-e-bandagi hota
kiya hota agar shayan-e-dar ek sajda bhi main ne
yahi kuchh kam nahin kam aagahi ke is zamane mein
jahan-e-sher ko baKHsha 'waqar'-e-agahi main ne
- Book : Waqar-e-Hunar (Pg. 84)
- Author : Mohammad Zahiir
- Publication : Waqar Manvi, Sui walan, Darya Ganj, Delhi (1998)
- Edition : 1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.