KHushi ki baat thi lekin mujhe rula gai hai
ḳhushī kī baat thī lekin mujhe rulā ga.ī hai
kahāñ se baat chalī thī kahāñ tak aa ga.ī hai
mirā ḳhudā to yaqīnan bharam rakhegā mirā
maiñ jāntā huuñ ki us tak mirī duā ga.ī hai
maiñ aam taur pe chaltā huuñ us se aage magar
kahīñ kahīñ mire aage mirī anā ga.ī hai
maiñ apne naam kī taḳhtī nahīñ lagātā kahīñ
mirā pata mirī be-mā.egī batā ga.ī hai
sañbhal ke baiTh tū masnad pe sāhib-e-mansab
kisī kī jaan kisī kī yahāñ qabā ga.ī hai
tujhe ye zo.am faqat tū thā raunaq-e-mahfil
jaras kī guuñj tire baad jā-ba-jā ga.ī hai
KHushi ki baat thi lekin mujhe rula gai hai
kahan se baat chali thi kahan tak aa gai hai
mera KHuda to yaqinan bharam rakhega mera
main jaanta hun ki us tak meri dua gai hai
main aam taur pe chalta hun us se aage magar
kahin kahin mere aage meri ana gai hai
main apne nam ki taKHti nahin lagata kahin
mera pata meri be-maegi bata gai hai
sanbhal ke baiTh tu masnad pe sahib-e-mansab
kisi ki jaan kisi ki yahan qaba gai hai
tujhe ye zoam faqat tu tha raunaq-e-mahfil
jaras ki gunj tere baad ja-ba-ja gai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.