KHushi ki mili ye saza rafta rafta
ḳhushī kī milī ye sazā rafta rafta
ta.āruf ġhamoñ se huā rafta rafta
thī chehre kī rañgat to nazroñ ke aage
chalā rañg dil kā pata rafta rafta
bhalā.ī kiye jā yaqīñ rab pe rakh kar
vo detā hai sab ko sila rafta rafta
sunī bhūke bachche ne jab maañ kī lorī
to ro ro ke vo so gayā rafta rafta
tire bin bhī kaT jā.egī umr lekin
chhuḌā apnā dāman zarā rafta rafta
nazar jo milī dil huā raakh jal kar
dhuāñ phir usī se uThā rafta rafta
chaman meñ khilīñ hañste hañste jo kaliyāñ
to ḳhushbū se mahkī fazā rafta rafta
na ghabrāo 'monā' pareshāniyoñ se
asar lā.egī har duā rafta rafta
KHushi ki mili ye saza rafta rafta
taaruf ghamon se hua rafta rafta
thi chehre ki rangat to nazron ke aage
chala rang dil ka pata rafta rafta
bhalai kiye ja yaqin rab pe rakh kar
wo deta hai sab ko sila rafta rafta
suni bhuke bachche ne jab man ki lori
to ro ro ke wo so gaya rafta rafta
tere bin bhi kaT jaegi umr lekin
chhuDa apna daman zara rafta rafta
nazar jo mili dil hua rakh jal kar
dhuan phir usi se uTha rafta rafta
chaman mein khilin hanste hanste jo kaliyan
to KHushbu se mahki faza rafta rafta
na ghabrao 'mona' pareshaniyon se
asar laegi har dua rafta rafta
- Book : Kahkashaan (Pg. 73)
- Author : Elizabeth Kurian Mona
- Publication : Educational Publishing House (2013)
- Edition : 2013
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.