KHushi ko pane ka nusKHa badal ke aae hain
ḳhushī ko paane kā nusḳha badal ke aa.e haiñ
ham apne dil kī tamanna badal ke aa.e haiñ
hamārī ḳhūbiyāñ kaise unheñ nazar aa.eñ
ki vo nazar nahīñ chashma badal ke aa.e haiñ
rivāyatoñ ko banāte nahīñ haiñ husn-e-ġhazal
ke ham ġhazal kā maqāla badal ke aa.e haiñ
javāharāt ke daane haiñ taar sone ke
na.e shikārī haiñ piñjra badal ke aa.e haiñ
vo muflisoñ kī thī bastī isī liye shāyad
khilaune vaale bhī rasta badal ke aa.e haiñ
havā.eñ apne Thikānoñ ko lauT jā.eñgī
ham apnī khiḌkī kā parda badal ke aa.e haiñ
'adīb' farq nahīñ dost aur dushman meñ
ki dost bhī to mukhauTā badal ke aa.e haiñ
KHushi ko pane ka nusKHa badal ke aae hain
hum apne dil ki tamanna badal ke aae hain
hamari KHubiyan kaise unhen nazar aaen
ki wo nazar nahin chashma badal ke aae hain
riwayaton ko banate nahin hain husn-e-ghazal
ke hum ghazal ka maqala badal ke aae hain
jawaharaat ke dane hain tar sone ke
nae shikari hain pinjra badal ke aae hain
wo muflison ki thi basti isi liye shayad
khilaune wale bhi rasta badal ke aae hain
hawaen apne Thikanon ko lauT jaengi
hum apni khiDki ka parda badal ke aae hain
'adib' farq nahin dost aur dushman mein
ki dost bhi to mukhauTa badal ke aae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.