Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHushi mein bhi nawa-sanj-e-fughan hun

Qalaq Merathi

KHushi mein bhi nawa-sanj-e-fughan hun

Qalaq Merathi

MORE BYQalaq Merathi

    ḳhushī meñ bhī navā-sañj-e-fuġhāñ huuñ

    zamīn-o-āsmāñ tarz-dāñ huuñ

    maiñ apnī be-nishānī nishāñ huuñ

    hujūm-e-mātam-e-umr-e-ravāñ huuñ

    tire jaate merī ziist tohmat

    nahīñ miltā patā apnā kahāñ huuñ

    ġhubār-e-kārvān-e-mor hai ziist

    ye ḳhatt-e-yār se āshufta-jāñ huuñ

    nahīñ kuchh kaam baḳht-o-āsmāñ se

    maiñ nākāmī meñ apnī kāmrāñ huuñ

    nahīñ dam mārne dam aur us par

    sarāpā sham.a saañ shakl-e-zabāñ huuñ

    ḳhudā gar na de ma.ashūq-o-mai ko

    to kyuuñ phir mohtasib se sargirāñ huuñ

    vahāñ rañg-e-parrāñ āsmāñ hai

    maiñ jis aalam tasvīr-e-gumāñ huuñ

    koī āvāra mil jaa.e to pūchhūñ

    kidhar se aayā huuñ jaatā kahāñ huuñ

    nikal jaatā hai har aarzū par

    pa.e-ḳhūn-e-javānī meñ javāñ huuñ

    mirā ġham ishrat-e-rafta naġhma

    ki misl-e-gard bū-e-kārvāñ huuñ

    kavākib-hā-e-qismat āsmāñ par

    na huuñ... kyuuñ nukta-chīñ maiñ nukta-dāñ huuñ

    'qalaq' be-raunaqī raunaq hai merī

    bahār-e-umr-e-hastī ḳhizāñ huuñ

    KHushi mein bhi nawa-sanj-e-fughan hun

    zamin-o-asman ka tarz-dan hun

    main apni be-nishani ka nishan hun

    hujum-e-matam-e-umr-e-rawan hun

    tere jate hi meri zist tohmat

    nahin milta pata apna kahan hun

    ghubar-e-karwan-e-mor hai zist

    ye KHatt-e-yar se aashufta-jaan hun

    nahin kuchh kaam baKHt-o-asman se

    main nakaami mein apni kaamran hun

    nahin dam marne ka dam aur us par

    sarapa shama san shakl-e-zaban hun

    KHuda hi gar na de mashuq-o-mai ko

    to kyun phir mohtasib se sargiran hun

    wahan ka rang-e-parran aasman hai

    main jis aalam ki taswir-e-guman hun

    koi aawara mil jae to puchhun

    kidhar se aaya hun jata kahan hun

    nikal jata hai ji har aarzu par

    pae-KHun-e-jawani mein jawan hun

    mera gham ishrat-e-rafta ka naghma

    ki misl-e-gard bu-e-karwan hun

    kawakib-ha-e-qismat aasman par

    na hun kyun nukta-chin main nukta-dan hun

    'qalaq' be-raunaqi raunaq hai meri

    bahaar-e-umr-e-hasti ki KHizan hun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now