KHushi mein gham mila lete hain thoDa
ḳhushī meñ ġham milā lete haiñ thoḌā
ye sarmāya baḌhā lete haiñ thoḌā
nazar aate haiñ jab atrāf chhoTe
ham apnā qad ghaTā lete haiñ thoḌā
hai andar raushnī bāhar añdherā
so donoñ ko milā lete haiñ thoḌā
bahut be-rabt hai andar kī duniyā
chalo parda uThā lete haiñ thoḌā
bahut sā ḳharch ho jaatā hai īmāñ
magar phir bhī bachā lete haiñ thoḌā
ye chehre dil ke bāshinde haiñ sāhab
ye nazrāna judā lete haiñ thoḌā
suno duniyā ke naqshe se kisī din
samundar ko haTā lete haiñ thoḌā
do aalam aag ban jaate haiñ jab bhī
ham ashkoñ se bujhā lete haiñ thoḌā
KHushi mein gham mila lete hain thoDa
ye sarmaya baDha lete hain thoDa
nazar aate hain jab atraf chhoTe
hum apna qad ghaTa lete hain thoDa
hai andar raushni bahar andhera
so donon ko mila lete hain thoDa
bahut be-rabt hai andar ki duniya
chalo parda uTha lete hain thoDa
bahut sa KHarch ho jata hai iman
magar phir bhi bacha lete hain thoDa
ye chehre dil ke bashinde hain sahab
ye nazrana juda lete hain thoDa
suno duniya ke naqshe se kisi din
samundar ko haTa lete hain thoDa
do aalam aag ban jate hain jab bhi
hum ashkon se bujha lete hain thoDa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.