KHushi mein yun izafa kar liya hai
ḳhushī meñ yuuñ izāfa kar liyā hai
bahut sā ġham ikaTThā kar liyā hai
hameñ ham se bachāne kaun aatā
so ab ḳhud se kināra kar liyā hai
mirī tanhā.ī kā 'ālam to dekho
zamāne bhar ko yakjā kar liyā hai
tujhe jaane kī jaldī thī so ḳhud se
tire hisse kā shikva kar liyā hai
nahīñ māñgeñge tujh ko ab du'ā meñ
ḳhudā se ham ne jhagḌā kar liyā hai
taraste haiñ jise milne kī ḳhātir
usī ko apnī duniyā kar liyā hai
vo kyā hai 'ishq ham ne ab kī jānāñ
takalluf meñ ziyāda kar liyā hai
añdheroñ meñ to rakhte hī the ḳhud ko
ujāloñ meñ bhī tanhā kar liyā hai
khule piñjre meñ bhī jis ko hai vahshat
ye dil aisā parinda kar liyā hai
KHushi mein yun izafa kar liya hai
bahut sa gham ikaTTha kar liya hai
hamein hum se bachane kaun aata
so ab KHud se kinara kar liya hai
meri tanhai ka 'alam to dekho
zamane bhar ko yakja kar liya hai
tujhe jaane ki jaldi thi so KHud se
tere hisse ka shikwa kar liya hai
nahin mangenge tujh ko ab du'a mein
KHuda se hum ne jhagDa kar liya hai
taraste hain jise milne ki KHatir
usi ko apni duniya kar liya hai
wo kya hai 'ishq hum ne ab ki jaanan
takalluf mein ziyaada kar liya hai
andheron mein to rakhte hi the KHud ko
ujalon mein bhi tanha kar liya hai
khule pinjre mein bhi jis ko hai wahshat
ye dil aisa parinda kar liya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.