KHushi mile bhi to chehra nahin badalte hain
ḳhushī mile bhī to chehra nahīñ badalte haiñ
ki ham kabhī saf-e-girya nahīñ badalte haiñ
mujhe yaqīn hai duniyā zarūr badleñge
jo iḳhtilāf pe lahja nahīñ badalte haiñ
na jaane kaun musībat meñ kaam aa jaa.e
kisī ke saath ravayya nahīñ badalte haiñ
jinheñ bahut hai ibārat ke fan se āgāhī
tirā likhā huā jumla nahīñ badalte haiñ
purānī ādateñ pahchān ban ga.iiñ merī
so ḳhud ko itnā ziyāda nahīñ badalte haiñ
samajh rahe haiñ parinde qafas ko ghar apnā
shikārī is liye piñjra nahīñ badalte haiñ
ḳhudā mujhe bhī atā kar de aise dost ki jo
charāġh bujhne pe ḳhema nahīñ badalte haiñ
tujhe pata nahīñ ahd-e-jadīd ke ushshāq
junūñ bhī aa.e to huliya nahīñ badalte haiñ
tū zindagī ko badalne kī baat kartā hai
ham us ke hijr meñ hujra nahīñ badalte haiñ
KHushi mile bhi to chehra nahin badalte hain
ki hum kabhi saf-e-girya nahin badalte hain
mujhe yaqin hai duniya zarur badlenge
jo iKHtilaf pe lahja nahin badalte hain
na jaane kaun musibat mein kaam aa jae
kisi ke sath rawayya nahin badalte hain
jinhen bahut hai ibarat ke fan se aagahi
tera likha hua jumla nahin badalte hain
purani aadaten pahchan ban gain meri
so KHud ko itna ziyaada nahin badalte hain
samajh rahe hain parinde qafas ko ghar apna
shikari is liye pinjra nahin badalte hain
KHuda mujhe bhi ata kar de aise dost ki jo
charagh bujhne pe KHema nahin badalte hain
tujhe pata nahin ahd-e-jadid ke ushshaq
junun bhi aae to huliya nahin badalte hain
tu zindagi ko badalne ki baat karta hai
hum us ke hijr mein hujra nahin badalte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.