KHushi na mil saki aankhen meri pur-ab rahin
ḳhushī na mil sakī āñkheñ mirī pur-āb rahīñ
ḳhayāl-o-ḳhvāb kī bāteñ ḳhayāl-o-ḳhvāb rahīñ
sahar huī na mire shahr-e-ārzū meñ kabhī
ki mehr-e-husn kī kirneñ pas-e-naqāb rahīñ
unhī ke dam se hai qaa.em vaqār-e-sajda-e-shukr
vo log jin kī sadā qismateñ ḳharāb rahīñ
kisī ne bhī dar-e-ehsās apnā vā na kiyā
dukhe diloñ kī sadā.eñ na kāmyāb rahīñ
sukūñ se rahte haiñ kis tarah log duniyā meñ
mire liye to ye sāñseñ bhī ik azaab rahīñ
rah-e-vafā meñ nigāhoñ se ho ga.iiñ ojhal
jo sūrateñ mirī āñkhoñ kā intiḳhāb rahīñ
base hue haiñ mire ḳhvāb jin meñ ai 'ābid'
vo bastiyāñ to hamesha hī zer-e-āb rahīñ
KHushi na mil saki aankhen meri pur-ab rahin
KHayal-o-KHwab ki baaten KHayal-o-KHwab rahin
sahar hui na mere shahr-e-arzu mein kabhi
ki mehr-e-husn ki kirnen pas-e-naqab rahin
unhi ke dam se hai qaem waqar-e-sajda-e-shukr
wo log jin ki sada qismaten KHarab rahin
kisi ne bhi dar-e-ehsas apna wa na kiya
dukhe dilon ki sadaen na kaamyab rahin
sukun se rahte hain kis tarah log duniya mein
mere liye to ye sansen bhi ek azab rahin
rah-e-wafa mein nigahon se ho gain ojhal
jo suraten meri aankhon ka intiKHab rahin
base hue hain mere KHwab jin mein ai 'abid'
wo bastiyan to hamesha hi zer-e-ab rahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.