Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHushi ne mujhko Thukraya hai dard-o-gham ne pala hai

Ali Ahmad Jalili

KHushi ne mujhko Thukraya hai dard-o-gham ne pala hai

Ali Ahmad Jalili

MORE BYAli Ahmad Jalili

    ḳhushī ne mujh ko Thukrāyā hai dard-o-ġham ne paalā hai

    guloñ ne be-ruḳhī hai to kāñToñ ne sambhālā hai

    mohabbat meñ ḳhayāl-e-sāhil-o-manzil hai nādānī

    jo in rāhoñ meñ luT jaa.e vahī taqdīr vaalā hai

    jahāñ bhar kar matā-e-lāla-o-gul baḳhshne vaalo

    hamāre dil kāñTā bhī kabhī tum ne nikālā hai

    kināroñ se mujhe ai nāḳhudā tum duur rakhnā

    vahāñ le kar chalo tūfāñ jahāñ se uThne vaalā hai

    charāġhāñ kar ke dil bahlā rahe ho kyā jahāñ vaalo

    añdherā laakh raushan ho ujālā phir ujālā hai

    nasheman ke luT jaane ġham hotā to kyā ġham thā

    yahāñ to bechne vāloñ ne gulshan bech Daalā hai

    'alī' vo ziist kyā jo raat bhar meñ ḳhatm ho jaa.e

    charāġhoñ hañsī uḌtī hai taḌkā hone vaalā hai

    KHushi ne mujh ko Thukraya hai dard-o-gham ne pala hai

    gulon ne be-ruKHi ki hai to kanTon ne sambhaala hai

    mohabbat mein KHayal-e-sahil-o-manzil hai nadani

    jo in rahon mein luT jae wahi taqdir wala hai

    jahan bhar kar mata-e-lala-o-gul baKHshne walo

    hamare dil ka kanTa bhi kabhi tum ne nikala hai

    kinaron se mujhe ai naKHuda tum dur hi rakhna

    wahan le kar chalo tufan jahan se uThne wala hai

    charaghan kar ke dil bahla rahe ho kya jahan walo

    andhera lakh raushan ho ujala phir ujala hai

    nasheman hi ke luT jaane ka gham hota to kya gham tha

    yahan to bechne walon ne gulshan bech Dala hai

    'ali' wo zist kya jo raat bhar mein KHatm ho jae

    charaghon ki hansi uDti hai taDka hone wala hai

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Begum Akhtar

    Begum Akhtar

    Begum Akhtar

    Begum Akhtar

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now