Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHushi se jhumti phirti hai aur phir muskuraati hai

Azeem Kamil

KHushi se jhumti phirti hai aur phir muskuraati hai

Azeem Kamil

MORE BYAzeem Kamil

    ḳhushī se jhūmtī phirtī hai aur phir muskurātī hai

    mirī taaza ġhazal vo yaad kar ke gungunātī hai

    tumheñ cigarette se nafrat hai to ye kyoñ bhuul baiThe tum

    tumheñ jis se mohabbat hai use cigarette bachātī hai

    nahīñ ma.alūm merā hāfiza kis samt rahtā hai

    magar vo yaad rakhtī hai janam din tak manātī hai

    use bujhte diyoñ se itnī uljhan hai ki mat pūchho

    koī jo laḌkhaḌā jaa.e use fauran jalātī hai

    kitābeñ chīḳhne lagtī haiñ jab vo paas se guzre

    inheñ vo chuum ke rakhtī hai siine se lagātī hai

    zahīn itnī hai us se bahs to ham kar nahīñ sakte

    mujhe manTo ke afsāne bilā-nāġha sunātī hai

    KHushi se jhumti phirti hai aur phir muskuraati hai

    meri taza ghazal wo yaad kar ke gungunati hai

    tumhein cigarette se nafrat hai to ye kyon bhul baiThe tum

    tumhein jis se mohabbat hai use cigarette bachati hai

    nahin malum mera hafiza kis samt rahta hai

    magar wo yaad rakhti hai janam din tak manati hai

    use bujhte diyon se itni uljhan hai ki mat puchho

    koi jo laDkhaDa jae use fauran jalati hai

    kitaben chiKHne lagti hain jab wo pas se guzre

    inhen wo chum ke rakhti hai sine se lagati hai

    zahin itni hai us se bahs to hum kar nahin sakte

    mujhe manTo ke afsane bila-nagha sunati hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now