KHushi se rabt na rakh gham se silsila na mila
ḳhushī se rabt na rakh ġham se silsila na milā
davā meñ zahr milā zahr meñ davā na milā
maiñ apnā pyaar bharā dil kisī ko kyā detī
tumhāre jaisā hasīñ koī dūsrā na milā
bahut talāsh kiyā ham ne shahr-o-sahrā meñ
ḳhudā ke chāhne vaale mile ḳhudā na milā
jamī thī gard-e-havas dostoñ ke chehroñ par
ba-qadr-e-zarf-e-nazar koī āshnā na milā
mirī 'anā' ke shajar is qadar ghanere the
havā chalī to havā ko bhī rāsta na milā
KHushi se rabt na rakh gham se silsila na mila
dawa mein zahr mila zahr mein dawa na mila
main apna pyar bhara dil kisi ko kya deti
tumhaare jaisa hasin koi dusra na mila
bahut talash kiya hum ne shahr-o-sahra mein
KHuda ke chahne wale mile KHuda na mila
jami thi gard-e-hawas doston ke chehron par
ba-qadr-e-zarf-e-nazar koi aashna na mila
meri 'ana' ke shajar is qadar ghanere the
hawa chali to hawa ko bhi rasta na mila
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.