KHushi se shauq se bar-e-alam uThana hai
ḳhushī se shauq se bār-e-alam uThānā hai
musībatoñ meñ bhī rah rah ke muskurānā hai
mujhe to sāhil-e-maqsūd kī tamanna hai
safīna hijr-e-havādis se le ke jaanā hai
tum apne tarz-e-taġhāful ko bhī badal Daalo
tumheñ ḳhabar nahīñ badlā huā zamāna hai
mujhe to jazb-e-jigar se yā āh-e-paiham se
kisī tarah se tasavvur meñ un ko laanā hai
nahīñ hai bād-e-muḳhālif kā ḳhauf ai manzar
charāġh tund havāoñ meñ bhī jalānā hai
KHushi se shauq se bar-e-alam uThana hai
musibaton mein bhi rah rah ke muskurana hai
mujhe to sahil-e-maqsud ki tamanna hai
safina hijr-e-hawadis se le ke jaana hai
tum apne tarz-e-taghaful ko bhi badal Dalo
tumhein KHabar nahin badla hua zamana hai
mujhe to jazb-e-jigar se ya aah-e-paiham se
kisi tarah se tasawwur mein un ko lana hai
nahin hai baad-e-muKHalif ka KHauf ai manzar
charagh tund hawaon mein bhi jalana hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.