KHushi se ya ba-majburi qafas se aashiyan badla
ḳhushī se yā ba-majbūrī qafas se āshiyāñ badlā
magar us vaqt jab saarā nizām-e-gulsitāñ badlā
qafas se āshiyāñ tabdīl karnā baat hī kyā thī
hameñ dekho ki ham ne bijliyoñ se āshiyāñ badlā
baḌī dushvāriyāñ pesh aa.iin manzil tak pahuñchne meñ
kabhī ye kārvāñ badlā kabhī vo kārvāñ badlā
KHushi se ya ba-majburi qafas se aashiyan badla
magar us waqt jab sara nizam-e-gulsitan badla
qafas se aashiyan tabdil karna baat hi kya thi
hamein dekho ki hum ne bijliyon se aashiyan badla
baDi dushwariyan pesh aain manzil tak pahunchne mein
kabhi ye karwan badla kabhi wo karwan badla
- Ghazal Encyclopaedia
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.