KHushi yaad aai ki gham yaad aae
KHushi yaad aai ki gham yaad aae
Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar
MORE BYKunwar Mahendra Singh Bedi Sahar
ḳhushī yaad aa.ī ki ġham yaad aa.e
magar tum hameñ dam-ba-dam yaad aa.e
jo tum yaad aa.e to ġham yaad aa.e
jo ġham yaad aa.e to ham yaad aa.e
chhiḌā zikr jab un ke jaur-o-sitam kā
mujhe un ke lākhoñ karam yaad aa.e
mohabbat meñ ik vaqt aisā bhī guzrā
na tum yaad aa.e na ham yaad aa.e
falak par jo dekhe mah-o-mehr-o-anjum
hameñ apne naqsh-e-qadam yaad aa.e
muqaddar ko jab bhī sañvārā hai ham ne
tirī zulf ke pech-o-ḳham yaad aa.e
ajab kashmakash hai ki jiinā na marnā
'sahar' us se kah do ki kam yaad aa.e
KHushi yaad aai ki gham yaad aae
magar tum hamein dam-ba-dam yaad aae
jo tum yaad aae to gham yaad aae
jo gham yaad aae to hum yaad aae
chhiDa zikr jab un ke jaur-o-sitam ka
mujhe un ke lakhon karam yaad aae
mohabbat mein ek waqt aisa bhi guzra
na tum yaad aae na hum yaad aae
falak par jo dekhe mah-o-mehr-o-anjum
hamein apne naqsh-e-qadam yaad aae
muqaddar ko jab bhi sanwara hai hum ne
teri zulf ke pech-o-KHam yaad aae
ajab kashmakash hai ki jina na marna
'sahar' us se kah do ki kam yaad aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.