KHushiyan mat de mujhko dard-o-kaif ki daulat de sain
ḳhushiyāñ mat de mujh ko dard-o-kaif kī daulat de sā.īñ
mujh ko mere dil ke ik ik zaḳhm kī ujrat de sā.īñ
merī anā kī shah-e-rag par ḳhud merī anā kā ḳhanjar hai
mere lahū ke har qatre ko phir se hiddat de sā.īñ
ism-e-zāt kā raaz hai jo ḳhud mere uupar faash to kar
mere dil ke ā.īne ko phir se hairat de sā.īñ
toḌ de vo dīvār-e-nafas jo beach meñ mere haa.il hai
mujh ko mujh se milne kī ik baar jo mohlat de sā.īñ
maiñ bhī to miTTī huuñ vo bhī tere chaak kī miTTī huuñ
apne chaak kī miTTī ko achchhī sī sūrat de sā.īñ
duniyā kā ye jāh-o-hasham ye mansab ye jāgīr hai kyā
daulat kaisī mujh ko merā kāsa-e-usrat de sā.īñ
mere is lahje ko bhī ab ek nayā āhañg to de
mere saare alfāz-o-afkār ko nudrat de sā.īñ
kār-e-jahāñ ke mansab se tū 'shāhid' ko ma.azūl bhī kar
kaam use jo kuchh bhī de vo hasb-e-zarūrat de sā.īñ
KHushiyan mat de mujh ko dard-o-kaif ki daulat de sain
mujh ko mere dil ke ek ek zaKHm ki ujrat de sain
meri ana ki shah-e-rag par KHud meri ana ka KHanjar hai
mere lahu ke har qatre ko phir se hiddat de sain
ism-e-zat ka raaz hai jo KHud mere upar fash to kar
mere dil ke aaine ko phir se hairat de sain
toD de wo diwar-e-nafas jo beach mein mere hail hai
mujh ko mujh se milne ki ek bar jo mohlat de sain
main bhi to miTTi hun wo bhi tere chaak ki miTTi hun
apne chaak ki miTTi ko achchhi si surat de sain
duniya ka ye jah-o-hasham ye mansab ye jagir hai kya
daulat kaisi mujh ko mera kasa-e-usrat de sain
mere is lahje ko bhi ab ek naya aahang to de
mere sare alfaz-o-afkar ko nudrat de sain
kar-e-jahan ke mansab se tu 'shahid' ko mazul bhi kar
kaam use jo kuchh bhi de wo hasb-e-zarurat de sain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.