KHushiyan na chhoD apne liye gham talab na kar
ḳhushiyāñ na chhoḌ apne liye ġham talab na kar
ai ham-nashīñ yahāñ koī mahram talab na kar
kin hijratoñ ke ba.ad huā hai ye mo'atabar
parvardigār mujh se mirā ġham talab na kar
kuchh aur zaḳhm khā ki mile manzil-e-murād
lamhoñ se apne zaḳhm kā marham talab na kar
ai dil kisī se mil ke bichhaḌne meñ fā.eda
muzmar hai jo visāl meñ vo sam talab na kar
Takrā na mujh ko merī anā ke pahāḌ se
mere liye vo sā.at-e-barham talab na kar
KHushiyan na chhoD apne liye gham talab na kar
ai ham-nashin yahan koi mahram talab na kar
kin hijraton ke baad hua hai ye mo'atabar
parwardigar mujh se mera gham talab na kar
kuchh aur zaKHm kha ki mile manzil-e-murad
lamhon se apne zaKHm ka marham talab na kar
ai dil kisi se mil ke bichhaDne mein faeda
muzmar hai jo visal mein wo sam talab na kar
Takra na mujh ko meri ana ke pahaD se
mere liye wo saat-e-barham talab na kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.