KHushiyan nahin to kyon kahun aazar bhi nahin
ḳhushiyāñ nahīñ to kyoñ kahūñ āzār bhī nahīñ
ghar-bār kyā kahūñ koī dil-dār bhī nahīñ
ābād mahfileñ rahīñ vaqt-e-urūj thā
sunñe ko baat ab koī ġham-ḳhvār bhī nahīñ
thā mahvashoñ kā saath to gul-pāshiyāñ rahīñ
tanhā hue to miltā koī ḳhaar bhī nahīñ
ġham apnā jis se bāñTte tanhā.iyoñ meñ ham
chehra-shanās ab koī dīvār bhī nahīñ
jo dil meñ aa gayā vahī 'shahzād' likh diyā
āsāñ nahīñ to shā'irī dushvār bhī nahīñ
KHushiyan nahin to kyon kahun aazar bhi nahin
ghar-bar kya kahun koi dil-dar bhi nahin
aabaad mahfilen rahin waqt-e-uruj tha
sunne ko baat ab koi gham-KHwar bhi nahin
tha mahwashon ka sath to gul-pashiyan rahin
tanha hue to milta koi KHar bhi nahin
gham apna jis se banTte tanhaiyon mein hum
chehra-shanas ab koi diwar bhi nahin
jo dil mein aa gaya wahi 'shahzad' likh diya
aasan nahin to sha'iri dushwar bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.