KHushiyan tamam gham mein wo tabdil kar gaya
ḳhushiyāñ tamām ġham meñ vo tabdīl kar gayā
āḳhir mire ḳhulūs kī tazlīl kar gayā
vo ek shaḳhs dostoñ mar to gayā magar
raushan jahāñ meñ pyaar kī qindīl kar gayā
likh kar vafā kā naam vo saada varaq pe aaj
puurī har ik kitāb kī tafsīl kar gayā
sho.ala-bayāñ thā kitnā ḳhatarnāk dosto
lafzoñ kā zahr jism meñ tahlīl kar gayā
'saifī' kī aaj maut pe dushman bhī kah uThe
achchhā thā vo hayāt kī takmīl kar gayā
KHushiyan tamam gham mein wo tabdil kar gaya
aaKHir mere KHulus ki tazlil kar gaya
wo ek shaKHs doston mar to gaya magar
raushan jahan mein pyar ki qindil kar gaya
likh kar wafa ka nam wo sada waraq pe aaj
puri har ek kitab ki tafsil kar gaya
shoala-bayan tha kitna KHatarnak dosto
lafzon ka zahr jism mein tahlil kar gaya
'saifi' ki aaj maut pe dushman bhi kah uThe
achchha tha wo hayat ki takmil kar gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.