KHushiyan thin bewafa na rahin zindagi ke sath
ḳhushiyāñ thiiñ bevafā na rahīñ zindagī ke saath
ġham bā-vafā the chalte rahe aadmī ke saath
Dhalne lagī javānī jo aa.ī thī chaar din
Thahrā buḌhāpā qabr talak rahbarī ke saath
andāz zindagī ke badal kar jiyo sadā
apnoñ kī be-ruḳhī ko saho tum ḳhushī ke saath
puujā hai maiñ ne roz-o-shab is qadar use
us kā hī naam likhtī rahī shā.erī ke saath
mujh ko 'sabā' milī hai masarrat bhī is tarah
jaise ki ajnabī ho kisī ajnabī ke saath
KHushiyan thin bewafa na rahin zindagi ke sath
gham ba-wafa the chalte rahe aadmi ke sath
Dhalne lagi jawani jo aai thi chaar din
Thahra buDhapa qabr talak rahbari ke sath
andaz zindagi ke badal kar jiyo sada
apnon ki be-ruKHi ko saho tum KHushi ke sath
puja hai main ne roz-o-shab is qadar use
us ka hi nam likhti rahi shaeri ke sath
mujh ko 'saba' mili hai masarrat bhi is tarah
jaise ki ajnabi ho kisi ajnabi ke sath
- Book : Ehsaas (Pg. 43)
- Author : Bubbles Hora Saba
- Publication : Bubbles Hora Saba
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.