KHushiyan yaad nahin hain aur gham yaad nahin
ḳhushiyāñ yaad nahīñ haiñ aur ġham yaad nahīñ
kaisā hamdam hai jis ko ham yaad nahīñ
ek arse se bhūlā huā huuñ maiñ us ko
huiiñ thiiñ merī āñkheñ kab nam yaad nahīñ
ham to azal se tanhā the so tanhā haiñ
ġham vo mile haiñ ḳhushī kā aalam yaad nahīñ
jis meñ phuul khilā karte haiñ ulfat ke
kyā tum ko vo pyaar kā mausam yaad nahīñ
kaise junūñ ne gherā Daalā gird mire
jo tum ne apnā.e vo ġham yaad nahīñ
is andāze se ujḌā ye baaġh 'vaqās'
jis dam meñ thā dam ab vo dam yaad nahīñ
KHushiyan yaad nahin hain aur gham yaad nahin
kaisa hamdam hai jis ko hum yaad nahin
ek arse se bhula hua hun main us ko
huin thin meri aankhen kab nam yaad nahin
hum to azal se tanha the so tanha hain
gham wo mile hain KHushi ka aalam yaad nahin
jis mein phul khila karte hain ulfat ke
kya tum ko wo pyar ka mausam yaad nahin
kaise junun ne ghera Dala gird mere
jo tum ne apnae wo gham yaad nahin
is andaze se ujDa ye bagh 'waqas'
jis dam mein tha dam ab wo dam yaad nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.