KHushiyon ka rasta go baDa muKHtasar raha hai
KHushiyon ka rasta go baDa muKHtasar raha hai
Najma Shaheen Khosa
MORE BYNajma Shaheen Khosa
ḳhushiyoñ kā rāsta go baḌā muḳhtasar rahā hai
lekin ye dukh sadā se mirā ham-safar rahā hai
us kī adā pe shāyad rone lage falak bhī
va.adoñ se apne kaise ab vo mukar rahā hai
kaisī bahār hai ye kaisā hai vasl-e-mausam
Tahnī se TuuT kar jo rah meñ bikhar rahā hai
vo jā chukā hai to phir us se gila bhī kyūñkar
kab saath is jahāñ koī umr bhar rahā hai
ḳhushbū kī aur ḳhushī kī ummīd kyā kareñ ab
jab āñdhiyoñ kī zad meñ dil kā nagar rahā hai
dil khol kar haiñ barsīñ phir se hamārī āñkheñ
'shāhīn' hijr-e-mausam phir se nikhar rahā hai
KHushiyon ka rasta go baDa muKHtasar raha hai
lekin ye dukh sada se mera ham-safar raha hai
us ki ada pe shayad rone lage falak bhi
wadon se apne kaise ab wo mukar raha hai
kaisi bahaar hai ye kaisa hai wasl-e-mausam
Tahni se TuT kar jo rah mein bikhar raha hai
wo ja chuka hai to phir us se gila bhi kyunkar
kab sath is jahan koi umr bhar raha hai
KHushbu ki aur KHushi ki ummid kya karen ab
jab aandhiyon ki zad mein dil ka nagar raha hai
dil khol kar hain barsin phir se hamari aankhen
'shahin' hijr-e-mausam phir se nikhar raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.