KHushk aangan mein thi nami laDki
ḳhushk āñgan meñ thī namī laḌkī
umr bhar sochtī rahī laḌkī
us kī sīrat pe koī bhī na gayā
sūratan sāñvlī sī thī laḌkī
us ke andar kā mard jaag uThā
jab bhī tanhā.ī meñ milī laḌkī
kachche rastoñ se āshnā kab thī
bārishoñ meñ dhulī huī laḌkī
vo to manzil ko pā chukā hogā
rāstoñ meñ bikhar ga.ī laḌkī
vo jo sab ko fareb detā thā
us ko phir mil ga.ī na.ī laḌkī
dekh lenā ye vaqt badlegā
ḳhud ko manvā.e gī yahī laḌkī
KHushk aangan mein thi nami laDki
umr bhar sochti rahi laDki
us ki sirat pe koi bhi na gaya
suratan sanwli si thi laDki
us ke andar ka mard jag uTha
jab bhi tanhai mein mili laDki
kachche raston se aashna kab thi
barishon mein dhuli hui laDki
wo to manzil ko pa chuka hoga
raston mein bikhar gai laDki
wo jo sab ko fareb deta tha
us ko phir mil gai nai laDki
dekh lena ye waqt badlega
KHud ko manwae gi yahi laDki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.