KHushk aankhon ki kahani dasht dasht apni hi thi
ḳhushk āñkhoñ kī kahānī dasht dasht apnī hī thī
nam havāoñ meñ sadā-e-bāzgasht apnī hī thī
DhūñDte phirte rahe the saaya saaya zindagī
dhuup kī galiyoñ meñ sub.h-o-shām gasht apnī hī thī
jāgtī rahtī thiiñ āñkheñ ḳhāna ḳhāna ḳhauf ḳhauf
ḳhvāb kī raushan-numā.ī tasht tasht apnī hī thī
jañgaloñ se shahr tak shāna-ba-shāna pusht pusht
silsila kartī huī vo sar-guzasht apnī hī thī
merī ḳhush-taba.ī na thī rū-e-ġharīb-e-shahr haañ
shahr-yāroñ meñ muzavvaj ḳhū-e-zasht apnī hī thī
karte the 'parvez' 'rahmānī' ujāle gul-kashīd
shab-girafta vādiyoñ meñ ḳhār-gasht apnī hī thī
KHushk aankhon ki kahani dasht dasht apni hi thi
nam hawaon mein sada-e-bazgasht apni hi thi
DhunDte phirte rahe the saya saya zindagi
dhup ki galiyon mein subh-o-sham gasht apni hi thi
jagti rahti thin aankhen KHana KHana KHauf KHauf
KHwab ki raushan-numai tasht tasht apni hi thi
jangalon se shahr tak shana-ba-shana pusht pusht
silsila karti hui wo sar-guzasht apni hi thi
meri KHush-tabai na thi ru-e-gharib-e-shahr han
shahr-yaron mein muzawwaj KHu-e-zasht apni hi thi
karte the 'parwez' 'rahmani' ujale gul-kashid
shab-girafta wadiyon mein KHar-gasht apni hi thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.