KHushk aankhon ko tar kiya jae
ḳhushk āñkhoñ ko tar kiyā jaa.e
bārishoñ meñ safar kiyā jaa.e
tum milo to kisī bahāne se
zindagī ko basar kiyā jaa.e
thaam lī jaa.e ḳhvāb kī zanjīr
raat ko be-sahar kiyā jaa.e
yaad karnā tujhe bhulā denā
bas yahī umr-bhar kiyā jaa.e
be-ḳhabar hai jo ik zamāne se
kyoñ use bā-ḳhabar kiyā jaa.e
itnī tanhā.ī hai udāsī hai
yaad tujh ko agar kiyā jaa.e
KHushk aankhon ko tar kiya jae
barishon mein safar kiya jae
tum milo to kisi bahane se
zindagi ko basar kiya jae
tham li jae KHwab ki zanjir
raat ko be-sahar kiya jae
yaad karna tujhe bhula dena
bas yahi umr-bhar kiya jae
be-KHabar hai jo ek zamane se
kyon use ba-KHabar kiya jae
itni tanhai hai udasi hai
yaad tujh ko agar kiya jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.