KHushk aankhon mein kuchh nami ke liye
ḳhushk āñkhoñ meñ kuchh namī ke liye
dil pareshāñ hai ik ḳhushī ke liye
aap rūTheñ to dil ye taḌpegā
saañs TuuTe na naġhmagī ke liye
is ko jaadū nahīñ to kyā kahiye
dil machaltā hai ajnabī ke liye
jis ne thāmā hai dil se haath mirā
dil dhaḌaktā hai bas usī ke liye
ham se qaa.em hai husn kī duniyā
ishq hai husn-e-zindagī ke liye
phuul ik dar pe us ke chhoḌ aayā
maiñ ne dānista muḳhbirī ke liye
vaqt marham hai zaḳhm bhar degā
chāhiye sabr zindagī ke liye
dushmanī kab thī hāsil-e-'maqsūd'
haath baḌhte haiñ dostī ke liye
KHushk aankhon mein kuchh nami ke liye
dil pareshan hai ek KHushi ke liye
aap ruThen to dil ye taDpega
sans TuTe na naghmagi ke liye
is ko jadu nahin to kya kahiye
dil machalta hai ajnabi ke liye
jis ne thama hai dil se hath mera
dil dhaDakta hai bas usi ke liye
hum se qaem hai husn ki duniya
ishq hai husn-e-zindagi ke liye
phul ek dar pe us ke chhoD aaya
main ne danista muKHbiri ke liye
waqt marham hai zaKHm bhar dega
chahiye sabr zindagi ke liye
dushmani kab thi hasil-e-'maqsud'
hath baDhte hain dosti ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.