KHushk aankhon se koi pyas na joDi humne
ḳhushk āñkhoñ se koī pyaas na joḌī ham ne
aas ham se jo sharāboñ ko thī toḌī ham ne
bārhā ham ko milā apne lahū meñ vo sharar
apnī dukhtī huī rag jab bhī nichoḌī ham ne
jo sañvarne ko kisī taur bhī raazī na huī
bhaaḌ meñ pheñk dī duniyā vo nigoḌī ham ne
is tarah ham ne samundar ko pilāyā paanī
apnī kashtī kisī sāhil pe na moḌī ham ne
jab koī chāñd milā daaġh na dekhe us ke
aañkh sūraj se milā kar na sikoḌī ham ne
gard ġhairat ke badan par jo nazar aa.ī kabhī
der tak apnī anā ḳhuub jhinjhoḌī ham ne
KHushk aankhon se koi pyas na joDi hum ne
aas hum se jo sharabon ko thi toDi hum ne
barha hum ko mila apne lahu mein wo sharar
apni dukhti hui rag jab bhi nichoDi hum ne
jo sanwarne ko kisi taur bhi raazi na hui
bhaD mein phenk di duniya wo nigoDi hum ne
is tarah hum ne samundar ko pilaya pani
apni kashti kisi sahil pe na moDi hum ne
jab koi chand mila dagh na dekhe us ke
aankh suraj se mila kar na sikoDi hum ne
gard ghairat ke badan par jo nazar aai kabhi
der tak apni ana KHub jhinjhoDi hum ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.