ḳhushk āñkhoñ se lahū phuuT ke ronā ik din
varna le Dūbegā mujh ko mirā honā ik din
kyā pata thā tirī jaltī huī sāñsoñ kī qatār
merī sāñsoñ hī pe Dālegī bichhaunā ik din
ek bhī rañg kī lau ūñchī na hone paa.ī
an-ginat rañgoñ meñ jis ko thā samonā ik din
maiñ kabhī zehn ke zīnoñ se utar ā.ūñgā
lā ke rakh de mire hāthoñ pe khilaunā ik din
roz bin-barse guzar jā.eñge bādal kab tak
apne ashkoñ se 'sabā' un ko bhigonā ik din
KHushk aankhon se lahu phuT ke rona ek din
warna le Dubega mujh ko mera hona ek din
kya pata tha teri jalti hui sanson ki qatar
meri sanson hi pe Dalegi bichhauna ek din
ek bhi rang ki lau unchi na hone pai
an-ginat rangon mein jis ko tha samona ek din
main kabhi zehn ke zinon se utar aaunga
la ke rakh de mere hathon pe khilauna ek din
roz bin-barse guzar jaenge baadal kab tak
apne ashkon se 'saba' un ko bhigona ek din
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.