KHushk bahut ho jate hain jab hum sahra ho jate hain
ḳhushk bahut ho jaate haiñ jab ham sahrā ho jaate haiñ
sahrā meñ bhī āb-rasānī ke dar vā ho jaate haiñ
raat meñ us ke dar par rote rote mar jaate haiñ ham
sub.h ko vo qum kah detā hai phir zinda ho jaate haiñ
ham nāpāk rahā karte haiñ vasl nahīñ karte haiñ jab
us ke badan ke aab meñ dhul kar pākīza ho jaate haiñ
āñkheñ vo zindāñ haiñ jin meñ ik chehra rah jaatā hai
raushnī manzar nīñdeñ aañsū ḳhvāb rihā ho jaate haiñ
miTTī kī tā'zīm karo to aur takabbur kartī hai
kankar patthar jaise ādam-zād ḳhudā ho jaate haiñ
us ke visāl kā allah jaane ham to itnā jānte haiñ
us ke badan kī zad meñ aa kar vasl-zada ho jaate haiñ
KHushk bahut ho jate hain jab hum sahra ho jate hain
sahra mein bhi aab-rasani ke dar wa ho jate hain
raat mein us ke dar par rote rote mar jate hain hum
subh ko wo qum kah deta hai phir zinda ho jate hain
hum napak raha karte hain wasl nahin karte hain jab
us ke badan ke aab mein dhul kar pakiza ho jate hain
aankhen wo zindan hain jin mein ek chehra rah jata hai
raushni manzar ninden aansu KHwab riha ho jate hain
miTTi ki ta'zim karo to aur takabbur karti hai
kankar patthar jaise aadam-zad KHuda ho jate hain
us ke visal ka allah jaane hum to itna jaante hain
us ke badan ki zad mein aa kar wasl-zada ho jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.