KHushk daman pe barasne nahin deti mujhko
ḳhushk dāman pe barasne nahīñ detī mujh ko
merī ġhairat kabhī rone nahīñ detī mujh ko
ek ḳhvāhish hai jo muddat se galā ghoñTe hai
ik tamannā hai jo marne nahīñ detī mujh ko
zindagī roz nayā dard sunātī hai magar
apne aañsū kabhī chhūne nahīñ detī mujh ko
dil to ahbāb se milne ko bahut chāhtā hai
muflisī ghar se nikalne nahīñ detī mujh ko
kuchh to kānoñ ko satātā hai ye tanhā.ī kā shor
kuchh mirī ḳhāmushī sone nahīñ detī mujh ko
fikr ġhurbat kī mire pīchhe paḌī ho jaise
chain se luqma nigalne nahīñ detī mujh ko
le to aatī hai zarūrat mujhe bāzāroñ tak
ik anā hai ki jo bikne nahīñ detī mujh ko
itnā ehsān to kartī hai 'razā' mujh pe hayāt
TuuT jā.ūñ to bikharne nahīñ detī mujh ko
KHushk daman pe barasne nahin deti mujh ko
meri ghairat kabhi rone nahin deti mujh ko
ek KHwahish hai jo muddat se gala ghonTe hai
ek tamanna hai jo marne nahin deti mujh ko
zindagi roz naya dard sunati hai magar
apne aansu kabhi chhune nahin deti mujh ko
dil to ahbab se milne ko bahut chahta hai
muflisi ghar se nikalne nahin deti mujh ko
kuchh to kanon ko satata hai ye tanhai ka shor
kuchh meri KHamushi sone nahin deti mujh ko
fikr ghurbat ki mere pichhe paDi ho jaise
chain se luqma nigalne nahin deti mujh ko
le to aati hai zarurat mujhe bazaron tak
ek ana hai ki jo bikne nahin deti mujh ko
itna ehsan to karti hai 'raza' mujh pe hayat
TuT jaun to bikharne nahin deti mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.