KHushk dariya paDa hai KHwahish ka
ḳhushk dariyā paḌā hai ḳhvāhish kā
ḳhvāb dekhā thā ham ne bārish kā
mustaqil dil jalā.e rakhtā hai
hai ye mausam havā kī sāzish kā
us se kahne ko to bahut kuchh hai
vaqt miltā nahīñ guzārish kā
koī us se to kuchh nahīñ kahtā
bo rahā hai jo beach ranjish kā
pā-ba-zanjīr chal rahe haiñ jo ham
ye bhī pahlū hai ik numā.ish kā
phuul kal the to aaj patthar haiñ
ye bhī andāz hai satā.ish kā
maiñ ne āñkhoñ se guftugū kar lī
ye hunar hai zabāñ kī bandish kā
khil rahe haiñ gulāb zaḳhmoñ ke
shukriya aap kī navāzish kā
jaarī mashq-e-suḳhan rahe 'ejāz'
kuchh sila to milegā kāvish kā
KHushk dariya paDa hai KHwahish ka
KHwab dekha tha hum ne barish ka
mustaqil dil jalae rakhta hai
hai ye mausam hawa ki sazish ka
us se kahne ko to bahut kuchh hai
waqt milta nahin guzarish ka
koi us se to kuchh nahin kahta
bo raha hai jo beach ranjish ka
pa-ba-zanjir chal rahe hain jo hum
ye bhi pahlu hai ek numaish ka
phul kal the to aaj patthar hain
ye bhi andaz hai sataish ka
main ne aankhon se guftugu kar li
ye hunar hai zaban ki bandish ka
khil rahe hain gulab zaKHmon ke
shukriya aap ki nawazish ka
jari mashq-e-suKHan rahe 'ejaz'
kuchh sila to milega kawish ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.