KHushk hain ye sabhi samundar chal
ḳhushk haiñ ye sabhī samundar chal
tishnagī ho ga.ī muqaddar chal
rog mat āshnā.iyoñ ke baḌhā
chhoḌ āvārgī miyāñ ghar chal
zarra-zarra na ḳhud bikhar aisā
jam.a kar apne aap ko ghar chal
haiñ haqā.eq ke marhale darpesh
apne ḳhvāboñ kā bāñdh bistar chal
peT ke mas.ale bulāte haiñ
kār-ḳhāne dukān daftar chal
zindagī rāsta hai sho.aloñ kā
dāman-e-āfiyat bachā kar chal
bhuul mat apnī haisiyat 'rāhī'
apnī hadd-e-rasā ke andar chal
KHushk hain ye sabhi samundar chal
tishnagi ho gai muqaddar chal
rog mat aashnaiyon ke baDha
chhoD aawargi miyan ghar chal
zarra-zarra na KHud bikhar aisa
jama kar apne aap ko ghar chal
hain haqaeq ke marhale darpesh
apne KHwabon ka bandh bistar chal
peT ke masale bulate hain
kar-KHane dukan daftar chal
zindagi rasta hai shoalon ka
daman-e-afiyat bacha kar chal
bhul mat apni haisiyat 'rahi'
apni hadd-e-rasa ke andar chal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.