KHushk hone lagi jab bhige dinon ki KHushbu
ḳhushk hone lagī jab bhīge dinoñ kī ḳhushbū
yaad aane lagī phir us ke laboñ kī ḳhushbū
chhuTTiyoñ meñ bhī mahaktī thī paḌhā.ī us kī
us ne rakkhī thī kitāboñ meñ ḳhatoñ kī ḳhushbū
muskurātī huī chehroñ pe nashīlī āñkheñ
rāsta roke hue kachche phaloñ kī ḳhushbū
shahr meñ phail ga.ī gaañv ke panghaT kī tarah
sar pe rakkhe hue miTTī ke ghaḌoñ kī ḳhushbū
badliyāñ ḳhushk huī jaatī haiñ jhīloñ kī tarah
pyaas bhaḌkāne lagī kachchī chhatoñ kī ḳhushbū
KHushk hone lagi jab bhige dinon ki KHushbu
yaad aane lagi phir us ke labon ki KHushbu
chhuTTiyon mein bhi mahakti thi paDhai us ki
us ne rakkhi thi kitabon mein KHaton ki KHushbu
muskuraati hui chehron pe nashili aankhen
rasta roke hue kachche phalon ki KHushbu
shahr mein phail gai ganw ke panghaT ki tarah
sar pe rakkhe hue miTTi ke ghaDon ki KHushbu
badliyan KHushk hui jati hain jhilon ki tarah
pyas bhaDkane lagi kachchi chhaton ki KHushbu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.