KHushk honTon pe mere apne lab-e-tar rakh de
ḳhushk hoñToñ pe mire apne lab-e-tar rakh de
mere saaqī mire sahrā pe samundar rakh de
maqtal-e-ishq meñ ab tak jo paḌī hai be-sar
koī us laash pe le jā ke mirā sar rakh de
zad meñ hai tez havāoñ kī kitāb-e-hastī
koī uḌte hue aurāq pe patthar rakh de
zindagī qaid na kar jism ke aivānoñ meñ
ye charāġh apnā kisī rāhguzar par rakh de
inqalāb asl meñ us vaqt mukammal hogā
zānū-e-ḳhār pe jab phuul koī sar rakh de
yā to har shaḳhs mire haath pe bai'at kar le
yā koī baḌh ke mire halq pe ḳhanjar rakh de
aaj 'kāzim' jo nahīñ tere hunar ke qaa.il
rū-ba-rū un ke sahīfa koī likh kar rakh de
KHushk honTon pe mere apne lab-e-tar rakh de
mere saqi mere sahra pe samundar rakh de
maqtal-e-ishq mein ab tak jo paDi hai be-sar
koi us lash pe le ja ke mera sar rakh de
zad mein hai tez hawaon ki kitab-e-hasti
koi uDte hue auraq pe patthar rakh de
zindagi qaid na kar jism ke aiwanon mein
ye charagh apna kisi rahguzar par rakh de
inqalab asl mein us waqt mukammal hoga
zanu-e-KHar pe jab phul koi sar rakh de
ya to har shaKHs mere hath pe bai'at kar le
ya koi baDh ke mere halq pe KHanjar rakh de
aaj 'kazim' jo nahin tere hunar ke qail
ru-ba-ru un ke sahifa koi likh kar rakh de
- Book : کتاب سنگ (Pg. 17)
- Author : کاظم جرولی
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.