KHushk lamhat ke dariya mein baha de mujhko
ḳhushk lamhāt ke dariyā meñ bahā de mujh ko
marg-e-ehsās kī suulī pe chaḌhā de mujh ko
kaun aa kar tire insāf kā misdāq bane
be-gunāhī pe agar tū na sazā de mujh ko
ek pal meñ ye mirā rañg uḌā dete haiñ
raas aate nahīñ ḳhush-rañg libāde mujh ko
yuuñ mujhe dekh ke chehra na chhupā hāthoñ se
maiñ tirā jism-e-barahna huuñ qabā de mujh ko
na milī kūcha-o-bāzār meñ DhūñDe se kahīñ
jo nazar naqsh-ba-dīvār banā de mujh ko
tū hayūlā jo nahīñ hai to mire sāmne aa
gumbad-e-dard meñ chhup kar na sadā de mujh ko
KHushk lamhat ke dariya mein baha de mujh ko
marg-e-ehsas ki suli pe chaDha de mujh ko
kaun aa kar tere insaf ka misdaq bane
be-gunahi pe agar tu na saza de mujh ko
ek pal mein ye mera rang uDa dete hain
ras aate nahin KHush-rang libaade mujh ko
yun mujhe dekh ke chehra na chhupa hathon se
main tera jism-e-barahna hun qaba de mujh ko
na mili kucha-o-bazar mein DhunDe se kahin
jo nazar naqsh-ba-diwar bana de mujh ko
tu hayula jo nahin hai to mere samne aa
gumbad-e-dard mein chhup kar na sada de mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.