KHushk miTTi mein lahu ki jo nami aaegi
ḳhushk miTTī meñ lahū kī jo namī aa.egī
dekhnā baaġh meñ phir sabz parī aa.egī
kaT ga.ī umr isī dhun meñ safar karte hue
do qadam aur abhī chhāñv ghanī aa.egī
sachche alfāz baratne lage ash.ār meñ ham
apne hisse meñ bhī hiire kī kanī aa.egī
dam-ba-dam ḳhuuñ kī ravānī meñ bhañvar paḌte haiñ
aisā lagtā hai koī saḳht ghaḌī aa.egī
dekh kar saḳhtī-e-hālāt gumāñ hai 'anjum'
apne ba.ad aa.egī jo nasl jarī aa.egī
KHushk miTTi mein lahu ki jo nami aaegi
dekhna bagh mein phir sabz pari aaegi
kaT gai umr isi dhun mein safar karte hue
do qadam aur abhi chhanw ghani aaegi
sachche alfaz baratne lage ashaar mein hum
apne hisse mein bhi hire ki kani aaegi
dam-ba-dam KHun ki rawani mein bhanwar paDte hain
aisa lagta hai koi saKHt ghaDi aaegi
dekh kar saKHti-e-haalat guman hai 'anjum'
apne baad aaegi jo nasl jari aaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.