KHushk palkon ko tere dar pe bhigone aaya
KHushk palkon ko tere dar pe bhigone aaya
Zohheb Farooqui Afrang
MORE BYZohheb Farooqui Afrang
ḳhushk palkoñ ko tire dar pe bhigone aayā
ek muddat se jo royā na thā rone aayā
jāntā huuñ ki nikalnā hai yahāñ se mushkil
aaj āñkhoñ meñ tirī ḳhud ko maiñ khone aayā
jis ke pāpoñ ke liye laakh samundar kam haiñ
ek dariyā meñ gunāhoñ ko vo dhone aayā
zindagī meñ jo sukūñ se na kabhī sotā thā
oḌh kar aaj kafan qabr meñ sone aayā
chhup ke kartā hai daraḳhtoñ ke lahū kā saudā
aap ke sāmne paudoñ ko jo bone aayā
KHushk palkon ko tere dar pe bhigone aaya
ek muddat se jo roya na tha rone aaya
jaanta hun ki nikalna hai yahan se mushkil
aaj aankhon mein teri KHud ko main khone aaya
jis ke papon ke liye lakh samundar kam hain
ek dariya mein gunahon ko wo dhone aaya
zindagi mein jo sukun se na kabhi sota tha
oDh kar aaj kafan qabr mein sone aaya
chhup ke karta hai daraKHton ke lahu ka sauda
aap ke samne paudon ko jo bone aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.