KHushk patta hai to hawa se Dar
''ḳhushk pattā hai to havā se Dar''
zard mausam kī bad-duā se Dar
har amal kā muhāsba kar le
paas aatī huī qazā se Dar
nek-kāroñ meñ naam ho terā
apne har kaaj meñ riyā se Dar
sar pe dastār jab salāmat hai
dil meñ aatī huī anā se Dar
shahr vīrān ho gayā 'asġhar'
sansanātī huī havā se Dar
KHushk patta hai to hawa se Dar
zard mausam ki bad-dua se Dar
har amal ka muhasba kar le
pas aati hui qaza se Dar
nek-karon mein nam ho tera
apne har kaj mein riya se Dar
sar pe dastar jab salamat hai
dil mein aati hui ana se Dar
shahr viran ho gaya 'asghar'
sansanati hui hawa se Dar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.