KHushk uski zat ka saton samundar ho gaya
ḳhushk us kī zaat kā sātoñ samundar ho gayā
dhuup kuchh aisī paḌī vo shaḳhs banjar ho gayā
āñgan āñgan zahr barsā.egī us kī chāñdnī
vo agar mahtāb kī sūrat ujāgar ho gayā
mere aadhe jism kī us ko lagegī bad-du'ā
kal ḳhabar aa jā.egī vo shaḳhs patthar ho gayā
kis ne apne haath se ḳhud maut kā katba likhā
kaun apnī qabr par 'ibrat kā patthar ho gayā
qurb jab had se baḌhā duurī muqaddar ho ga.ī
us kā milnā bhī na milne ke barābar ho gayā
maiñ ki bāhar kī fazā meñ qaid thā jis ke sabab
aaj vo ḳhud jins ke piñjre ke andar ho gayā
muft meñ taqsīm kī 'sājid' matā-e-shā.erī
jis ne apnā qurb apnāyā vo shā'ir ho gayā
KHushk us ki zat ka saton samundar ho gaya
dhup kuchh aisi paDi wo shaKHs banjar ho gaya
aangan aangan zahr barsaegi us ki chandni
wo agar mahtab ki surat ujagar ho gaya
mere aadhe jism ki us ko lagegi bad-du'a
kal KHabar aa jaegi wo shaKHs patthar ho gaya
kis ne apne hath se KHud maut ka katba likha
kaun apni qabr par 'ibrat ka patthar ho gaya
qurb jab had se baDha duri muqaddar ho gai
us ka milna bhi na milne ke barabar ho gaya
main ki bahar ki faza mein qaid tha jis ke sabab
aaj wo KHud jins ke pinjre ke andar ho gaya
muft mein taqsim ki 'sajid' mata-e-shaeri
jis ne apna qurb apnaya wo sha'ir ho gaya
- Book : kulliyat-e-iqbaal saajid (Pg. 77)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.