KHushnuma pal ki giraftari karen
ḳhushnumā pal kī giraftārī kareñ
aa ki mil kar ye samajhdārī kareñ
ek chhatrī meñ bacheñ ham dhuup se
jo pahal dil meñ hai vo saarī kareñ
aap ham donoñ pareshāñ ho liye
aa.iye phir se vafādārī kareñ
jo jagā de ḳhūbsūrat ḳhvāb se
aise sūraj se bhī kyā yaarī kareñ
lawn meñ sab fationable palants haiñ
ek do phūloñ kī bhī kyārī kareñ
KHushnuma pal ki giraftari karen
aa ki mil kar ye samajhdari karen
ek chhatri mein bachen hum dhup se
jo pahal dil mein hai wo sari karen
aap hum donon pareshan ho liye
aaiye phir se wafadari karen
jo jaga de KHubsurat KHwab se
aise suraj se bhi kya yari karen
lawn mein sab fationable palants hain
ek do phulon ki bhi kyari karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.