KHu badli aur kaise kaise phul hue
ḳhū badlī aur kaise kaise phuul hue
terā naam liyā angāre phuul hue
chauk meñ ik tasvīr lagā.ī phūloñ kī
dekhā dekhī chāroñ raste phuul hue
chhāchh bilone vaalī muddat ba.ad hañsī
dīvāroñ par chaspāñ uple phuul hue
resha buntī makḌī par ḳhushbū utrī
ik aahaT par saare jaale phuul hue
ghar ne dekh liyā aate pardesī ko
khil uTThe darvāze taale phuul hue
jaane kyā aalam hotā ho phūloñ kā
jin bātoñ par mere jaise phuul hue
kāñTe us zarḳhez nazar ke shaidā.ī
jo bhī us meñ aan samā.e phuul hue
saarī mohlat khilne aur mahakne kī
ġham ne dī aur ham bhī us ke phuul hue
ham haiñ jin par jauhar badle jaate haiñ
ham haiñ jin se kankar tere phuul hue
jab tak harf raheñge tum bhī mahkoge
tum mere ash.ār meñ aa.e phuul hue
KHu badli aur kaise kaise phul hue
tera nam liya angare phul hue
chauk mein ek taswir lagai phulon ki
dekha dekhi chaaron raste phul hue
chhachh bilone wali muddat baad hansi
diwaron par chaspan uple phul hue
resha bunti makDi par KHushbu utri
ek aahaT par sare jale phul hue
ghar ne dekh liya aate pardesi ko
khil uTThe darwaze tale phul hue
jaane kya aalam hota ho phulon ka
jin baaton par mere jaise phul hue
kanTe us zarKHez nazar ke shaidai
jo bhi us mein aan samae phul hue
sari mohlat khilne aur mahakne ki
gham ne di aur hum bhi us ke phul hue
hum hain jin par jauhar badle jate hain
hum hain jin se kankar tere phul hue
jab tak harf rahenge tum bhi mahkoge
tum mere ashaar mein aae phul hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.