KHub banta tha wo baaton ka dhani
ḳhuub bantā thā vo bātoñ kā dhanī
par vo ik baat jo kahte na banī
vo mirī ḳhāmushī kaise toḌe
us ke bas kī hī kahāñ koh-kanī
ham-suḳhan hoñ mire tujh se kitne
aaḌe aa.e na agar kam-suḳhanī
us kī āñkhoñ se laḌā.e koī aañkh
koī Takkar kī kare teġhzanī
vaqt be-vaqt kī ghanghor ghaTā
mere chehre pe tirī zulf ghanī
dhund thī dekhne vaalī 'anhad'
aur us dhund se jab dhuup chhanī
KHub banta tha wo baaton ka dhani
par wo ek baat jo kahte na bani
wo meri KHamushi kaise toDe
us ke bas ki hi kahan koh-kani
ham-suKHan hon mere tujh se kitne
aaDe aae na agar kam-suKHani
us ki aankhon se laDae koi aankh
koi Takkar ki kare teghzani
waqt be-waqt ki ghanghor ghaTa
mere chehre pe teri zulf ghani
dhund thi dekhne wali 'anhad'
aur us dhund se jab dhup chhani
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.