KHub ek naseh-e-mushfiq ne ye irshad kiya
ḳhuub ik nāseh-e-mushfiq ne ye irshād kiyā
bazm meñ us ne ta'allī jo kal akbar kī sunī
na tirī fauj na shāgird na pairau na murīd
na tū arjun hai na suqrāt rishī hai na munī
kis nagīñ par haiñ tire naqsh ke āsār ‘ayāñ
note-bōk terī shikasta tirī pencil hai ghunī
fikr se zikr se 'ibrat se tujhe kaam nahīñ
vāh-vā ke liye lafzoñ kī dukāñ tū ne chunī
tab' meñ terī vahī ḳhāmī-e-hirs-e-duniyā
ātish-e-ḳhauf-e-ḳhudā se na jalī hai na bhunī
ḳhud-parastī hai bahut ḳhalq kī ḳhidmat kam hai
dil-dahī kam hai to hai dil-shikanī chaar gunī
KHub ek naseh-e-mushfiq ne ye irshad kiya
bazm mein us ne ta'alli jo kal akbar ki suni
na teri fauj na shagird na pairau na murid
na tu arjun hai na suqraat rishi hai na muni
kis nagin par hain tere naqsh ke aasar ‘ayan
note-book teri shikasta teri pencil hai ghuni
fikr se zikr se 'ibrat se tujhe kaam nahin
wah-wa ke liye lafzon ki dukan tu ne chuni
tab' mein teri wahi KHami-e-hirs-e-duniya
aatish-e-KHauf-e-KHuda se na jali hai na bhuni
KHud-parasti hai bahut KHalq ki KHidmat kam hai
dil-dahi kam hai to hai dil-shikani chaar guni
- Book : ہنگامہ ہے کیوں برپا (Pg. 93)
- Author : اکبر الہ آبادی
- Publication : ریختہ بکس (2023)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.