KHub paisa kamana paDta hai
ḳhuub paisa kamānā paḌtā hai
apnā sikka jamānā paḌtā hai
māñgā karte nahīñ kisī se dil
dostā dil churānā paḌtā hai
dekhne ko ki kaun hai nazdīk
kis qadar duur jaanā paḌtā hai
maiñ vo jangal huuñ jis kī sohbat meñ
shāḳh-dar-shāḳh aanā paḌtā hai
ḳhālī bartan kā shor bhartā huuñ
ḳhud meñ kohrām uThānā paḌtā hai
roknī paḌtī hai kabhī hichkī
haañ kabhī muskurānā paḌtā hai
tere qad kī barābarī ke liye
ḳhud ko kitnā girānā paḌtā hai
bār-e-dīgar hai justujū terī
shaam ko ghar bhī aanā paḌtā hai
āñkheñ vīrān karnā paḌtī haiñ
dasht se phuul laanā paḌtā hai
KHub paisa kamana paDta hai
apna sikka jamana paDta hai
manga karte nahin kisi se dil
dosta dil churana paDta hai
dekhne ko ki kaun hai nazdik
kis qadar dur jaana paDta hai
main wo jangal hun jis ki sohbat mein
shaKH-dar-shaKH aana paDta hai
KHali bartan ka shor bharta hun
KHud mein kohram uThana paDta hai
rokni paDti hai kabhi hichki
han kabhi muskurana paDta hai
tere qad ki barabari ke liye
KHud ko kitna girana paDta hai
bar-e-digar hai justuju teri
sham ko ghar bhi aana paDta hai
aankhen viran karna paDti hain
dasht se phul lana paDta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.