KHub rota hun qahqahe le kar
ḳhuub rotā huuñ qahqahe le kar
maiñ pareshān huuñ mujhe le kar
husn se ho ga.ī mirī an-ban
koī aanā nahīñ use le kar
merā jīvan hai kitnā dukh-dā.ī
haath meñ haath dekhte le kar
yaar anmol hai bahut mujh ko
aap aate hī chal diye le kar
terī āñkheñ nahīñ mujhe mire ġham
mai-kade kī taraf chale le kar
aaj ḳhud se bhī ham binā bole
so ga.e hoñT kāñpte le kar
yāroñ DhūñDho koī to chārāgar
dil ko phirte haiñ haath pe le kar
KHub rota hun qahqahe le kar
main pareshan hun mujhe le kar
husn se ho gai meri an-ban
koi aana nahin use le kar
mera jiwan hai kitna dukh-dai
hath mein hath dekhte le kar
yar anmol hai bahut mujh ko
aap aate hi chal diye le kar
teri aankhen nahin mujhe mere gham
mai-kade ki taraf chale le kar
aaj KHud se bhi hum bina bole
so gae honT kanpte le kar
yaron DhunDho koi to chaaragar
dil ko phirte hain hath pe le kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.