Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHub tamasha hum ko banaya aap tamasha aap hue

Ijtiba Rizvi

KHub tamasha hum ko banaya aap tamasha aap hue

Ijtiba Rizvi

MORE BYIjtiba Rizvi

    ḳhuub tamāshā ham ko banāyā aap tamāshā aap hue

    ham ko rusvā karne nikle kaise rusvā aap hue

    tohmat-e-ka.aba aap ne badnām-e-kalīsā aap hue

    tuur pe bijlī qasr meñ shīrīñ najd meñ laila aap hue

    ma.anī-o-sūrat vahdat-o-kasrat zarra-o-sahrā aap hue

    aap to kuchh hote nahīñ the kahiye kyā kyā aap hue

    ham pe sharī.at ham pe tarīqat ham pe hudūd-e-fikr-o-nazar

    aap chale to gulshan gulshan sahrā sahrā aap hue

    sho'le se raakh huī thī sho'le se phir raakh jalī

    ḳhirman muusā kaun banā jab barq-e-tajallī aap hue

    aap ne chhup chhup kar is dil meñ apnī ik tasvīr gaḌhī

    puuj ke us ko ham hue kāfir kufr fatvā aap hue

    roz-e-azal se aap merī kaisī rasm-o-rāh nibhī

    avval avval ham hue shaidā āḳhir shaidā aap hue

    KHub tamasha hum ko banaya aap tamasha aap hue

    hum ko ruswa karne nikle kaise ruswa aap hue

    tohmat-e-kaba aap ne li badnam-e-kalisa aap hue

    tur pe bijli qasr mein shirin najd mein laila aap hue

    mani-o-surat wahdat-o-kasrat zarra-o-sahra aap hue

    aap to kuchh hote hi nahin the kahiye kya kya aap hue

    hum pe shariat hum pe tariqat hum pe hudud-e-fikr-o-nazar

    aap chale to gulshan gulshan sahra sahra aap hue

    sho'le se hi rakh hui thi sho'le se phir rakh jali

    KHirman musa kaun bana jab barq-e-tajalli aap hue

    aap ne chhup chhup kar is dil mein apni ek taswir gaDhi

    puj ke us ko hum hue kafir kufr ka fatwa aap hue

    roz-e-azal se aap ki meri kaisi rasm-o-rah nibhi

    awwal awwal hum hue shaida aaKHir shaida aap hue

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now